mujhko nahin pata ki mujhe kyun sataayega
vo yaar hai mera na mujhe ab rulaayega
jiske liye main jaan nichhawar bhi karta hoon
vo shakhs meri maut pe maatam manaayega
ulfat ke maamle mein zamaana kharab hai
dil tootne pe koi na aansu bahaayega
us bewafa se aaj bhi mujhko lagaav hai
ye baat vo kisi se na hargiz bataaega
koi nahin hai raazi mera dard sunne ko
murshid ko dard apna ye daanish sunaayega
मुझको नहीं पता कि मुझे क्यों सताएगा
वो यार है मिरा न मुझे अब रुलाएगा
जिसके लिए मैं जान निछावर भी करता हूँ
वो शख़्स मेरी मौत पे मातम मनाएगा
उल्फ़त के मामले में ज़माना ख़राब है
दिल टूटने पे कोई न आँसू बहाएगा
उस बेवफ़ा से आज भी मुझको लगाव है
ये बात वो किसी से न हरगिज़ बताएगा
कोई नहीं है राज़ी मेरा दर्द सुनने को
मुर्शिद को दर्द अपना ये 'दानिश' सुनाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari