vo agar sach mein khafa hai to khafa rahne do
uski khwaahish hai to phir mujhse juda rahne do
meri taarif yun karke na satao usko
phool baagon mein khila hai to khila rahne do
mat hansaao ye suna kar ke latife mujhko
gham agar dil mein jama hai to jama rahne do
main uthaata hoon ye talwaar dikhaave ke liye
mere dushman ko zara khauf-zada rahne do
choom lo aankh se tum yaar ke talve daanish
ishq ka sar pe nasha hai to nasha rahne do
वो अगर सच में ख़फ़ा है तो ख़फ़ा रहने दो
उसकी ख़्वाहिश है तो फिर मुझसे जुदा रहने दो
मेरी तारीफ़ यूँ करके न सताओ उसको
फूल बाग़ों में खिला है तो खिला रहने दो
मत हँसाओ ये सुना कर के लतीफ़े मुझको
ग़म अगर दिल में जमा है तो जमा रहने दो
मैं उठाता हूँ ये तलवार दिखावे के लिए
मेरे दुश्मन को ज़रा ख़ौफ़-ज़दा रहने दो
चूम लो आँख से तुम यार के तलवे 'दानिश'
इश्क़ का सर पे नशा है तो नशा रहने दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Nature Shayari Shayari