hamaari chashm-e-tar qatra bahaane ko nahin kahti | हमारी चश्म-ए-तर क़तरा बहाने को नहीं कहती - Raghav Prakash Mishra

hamaari chashm-e-tar qatra bahaane ko nahin kahti
mere dil ki hikaayat lab pe aane ko nahin kahti

main apni maa ki nazaron mein wahi maasoom baccha hoon
meri ammi mujhe ab tak kamaane ko nahin kahti

bahut hamdard bhi hote hain ye taqreeb muflis ke
hamaari eed bhi hum se manaane ko nahin kahti

koi khaatoon meri teergi mein baithi hai ab tak
vo aane waalon se sham'a jalane ko nahin kahti

ek ladki jo darwaaze pe akshar baat karti hai
wahi ladki jo mujhse ghar mein aane ko nahin kahti

jise bhi aazmaaya vo kabhi hamdard na nikla
rifaqat kab kisi ko aazmaane ko nahin kahti

हमारी चश्म-ए-तर क़तरा बहाने को नहीं कहती
मेरे दिल की हिकायत लब पे आने को नहीं कहती

मैं अपनी माँ की नज़रों में वही मासूम बच्चा हूँ
मेरी अम्मी मुझे अब तक कमाने को नहीं कहती

बहुत हमदर्द भी होते हैं ये तक़रीब मुफ़लिस के
हमारी ईद भी हम से मनाने को नहीं कहती

कोई ख़ातून मेरी तीरगी में बैठी है अब तक
वो आने वालों से शम'अ जलाने को नहीं कहती

एक लड़की जो दरवाजे पे अक्सर बात करती है
वही लड़की जो मुझसे घर में आने को नहीं कहती

जिसे भी आज़माया वो कभी हमदर्द न निकला
रिफ़ाक़त कब किसी को आज़माने को नहीं कहती

- Raghav Prakash Mishra
1 Like

Maa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raghav Prakash Mishra

As you were reading Shayari by Raghav Prakash Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Raghav Prakash Mishra

Similar Moods

As you were reading Maa Shayari Shayari