jagah baaki kahaan azaar ki hai
zindagi yun kisi ne khwaar ki hai
ham aise ehtiyaatan jee rahe hain
jaise ki zindagi udhaar ki hai
umr saari basar yaadon mein ki hai
ab jo baaki hai intezar ki hai
kabhi haq tujhpe chaaha tha magar ab
aarjoo khud pe ikhtiyaar ki hai
hamaari qurbaton ke beech jaanaan
jagah ab bhi kisi deewaar ki hai
mera bhi ghar hua karta tha yaaron
baat jungle ke ye us paar ki hai
mujhe tumse kya chahiye khudaon
zaroorat thode se aitbaar ki hai
जगह बाकी कहाँ आज़ार की है
ज़िंदगी यूँ किसी ने ख़्वार की है
हम ऐसे एहतियातन जी रहे हैं
जैसे कि ज़िंदगी उधार की है
उम्र सारी बसर यादों में की है
अब जो बाकी है इंतज़ार की है
कभी हक़ तुझपे चाहा था मगर अब
आरजू ख़ुद पे इख़्तियार की है
हमारी क़ुर्बतों के बीच जानाँ
जगह अब भी किसी दीवार की है
मेरा भी घर हुआ करता था यारों
बात जंगल के ये उस पार की है
मुझे तुमसे क्या चाहिए खुदाओं
ज़रूरत थोड़े से ऐतबार की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raghav Prakash Mishra
our suggestion based on Raghav Prakash Mishra
As you were reading Budhapa Shayari Shayari