raabta unse mitaane mein bahut der lagi
dar ko deewaar banaane mein bahut der lagi
maut ko aana tha aakar khadi hai mauke par
jaan-e-jaan aapko aane mein bahut der lagi
main kisi baat pe naaraaz ho gaya khud se
aur fir khud ko manaane mein bahut der lagi
jal gayeen dil ke saath dil ki hasratein saari
aapko ashq bahaane mein bahut der lagi
zindagi yun hi gujarati gayi hai ujlat mein
aaj ki shaam bitaane mein bahut der lagi
राब्ता उनसे मिटाने में बहुत देर लगी
दर को दीवार बनाने में बहुत देर लगी
मौत को आना था आकर खड़ी है मौके पर
जान-ए-जाँ आपको आने में बहुत देर लगी
मैं किसी बात पे नाराज़ हो गया ख़ुद से
और फ़िर ख़ुद को मनाने में बहुत देर लगी
जल गयीं दिल के साथ दिल की हसरतें सारी
आपको अश्क़ बहाने में बहुत देर लगी
ज़िंदगी यूँ ही गुजरती गयी है उजलत में
आज की शाम बिताने में बहुत देर लगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raghav Prakash Mishra
our suggestion based on Raghav Prakash Mishra
As you were reading Wahshat Shayari Shayari