kya khabar unko vo jo jeevan churakar le gaye
ghar mein se khaali vo khaalipan churakar le gaye
kuchh farishte aasmaan ko sabz karne ke liye
bas hamaare gaav se saawan churakar le gaye
us badan ko hamne itna dil lagaake dekha tha
vo kamar mein baandhkar dhadkan churakar le gaye
zeest ke khaatir churaane nikle the zewar jahaan
ham wahan se maut kii gardan churakar le gaye
yun parosi hamne apni jaan un darveshon ko
ghar se jaate waqt vo bartan churakar le gaye
dil churaane kii nazaakat unki maano aisi hai
nand lala ghar mein se maakhan churakar le gaye
क्या ख़बर उनको वो जो जीवन चुराकर ले गए
घर में से ख़ाली वो ख़ालीपन चुराकर ले गए
कुछ फ़रिश्ते आसमाँ को सब्ज़ करने के लिए
बस हमारे गाँव से सावन चुराकर ले गए
उस बदन को हमने इतना दिल लगाके देखा था
वो कमर में बाँधकर धड़कन चुराकर ले गए
ज़ीस्त के ख़ातिर चुराने निकले थे ज़ेवर जहाँ
हम वहाँ से मौत की गर्दन चुराकर ले गए
यूँ परोसी हमने अपनी जान उन दरवेशों को
घर से जाते वक़्त वो बर्तन चुराकर ले गए
दिल चुराने की नज़ाकत उनकी मानो ऐसी है
नंद लाला घर में से माखन चुराकर ले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari