sapne aur zindagi | "सपने और ज़िन्दगी" - Sushant

sapne aur zindagi

maine apne sab sapne beche hain
aur ek ghar khareeda hai usmein main tanha rehta hoon
jin ke liye beche the sapne vo mere saath hai
magar un sapnon ke bina main kahi door ja chuka hoon
yoon to main bahut khush hoon zindagi mein
magar mujhe raat ko neend nahin aati
kyunki jin sapnon ko raat bhar dekh kar subah poora karne ko uthata tha vo main kab ke bech chuka hoon
ab jab bhi main khada aaine mein khud ko dekhta hoon to jin aankhon mein ummeed aur khwaabon ke dariya hua karte the unmein ab sirf duniyaadaari aur zimmedaari ka sehra dikhaai padta hai
pehle jo shakhs duniya ke saath ghuma karta tha ab kisi ek jagah par shav ki bhaanti pada hua hai
ab ye maaloom hua hai ki insaan ki mrityu tab nahin hoti jab saansen rook jaati hai balki uski mrityu tab hoti hai jab vo sapne dekhna chhod deta hai

"सपने और ज़िन्दगी"

मैंने अपने सब सपने बेचे हैं
और एक घर खरीदा है उसमें मैं तनहा रहता हूं,
जिन के लिए बेचे थे सपने वो मेरे साथ है
मगर उन सपनों के बिना मैं कहीं दूर जा चुका हूं,
यूं तो मैं बहुत खुश हूं ज़िन्दगी में
मगर मुझे रात को नींद नहीं आती
क्यूंकि जिन सपनों को रात भर देख कर सुबह पूरा करने को उठता था वो मैं कब के बेच चुका हूं,
अब जब भी मैं खड़ा आईने में खुद को देखता हूं तो जिन आंखों में उम्मीद और ख्वाबों के दरिया हुआ करते थे उनमें अब सिर्फ दुनियादारी और ज़िम्मेदारी का सहरा दिखाई पड़ता है,
पहले जो शख्स दुनिया के साथ घुमा करता था अब किसी एक जगह पर शव की भांति पड़ा हुआ है,
अब ये मालूम हुआ है की इंसान की मृत्यु तब नहीं होती जब सांसें रूक जाती है बल्कि उसकी मृत्यु तब होती है जब वो सपने देखना छोड़ देता है।

- Sushant
0 Likes

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Sushant

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari