gunaahon ki kisi fehrist mein jab naam hote hain | गुनाहों की किसी फ़ेहरिस्त में जब नाम होते हैं

  - Umashankar Lekhwar

gunaahon ki kisi fehrist mein jab naam hote hain
jiein kaise agar sar pe kai ilzaam hote hain

luta dete hain sab apna jinhen kuchh mil nahin paata
bura kahte unhen hai log jo naakaam hote hain

dikhaate hain unhen jab log apni kaamyaabi ko
kahaan jaate hain vo jo shakhs phir naakaam hote hain

unhen sab jaante hain aur unka naam lete hain
mile manzil agar to naam ya badnaam hote hain

hamein ik shakhs jo vo mil na paaya naam se uske
zara sa hi magar ham bhi chalo badnaam hote hain

tumhein ye bhi nahin maaloom kitni hai hamein chaahat
dilaana bhi yaqeen chahein magar naakaam hote hain

गुनाहों की किसी फ़ेहरिस्त में जब नाम होते हैं
जिएँ कैसे अगर सर पे कई इल्ज़ाम होते हैं

लुटा देते हैं सब अपना जिन्हें कुछ मिल नहीं पाता
बुरा कहते उन्हें है लोग, जो नाकाम होते हैं

दिखाते हैं उन्हें जब लोग अपनी कामयाबी को
कहाँ जाते हैं वो, जो शख़्स फिर नाकाम होते हैं

उन्हें सब जानते हैं और उनका नाम लेते हैं
मिले मंज़िल अगर तो नाम, या बदनाम होते हैं

हमें इक शख़्स जो वो मिल न पाया, नाम से उसके
ज़रा सा ही मगर हम भी चलो बदनाम होते हैं

तुम्हें ये भी नहीं मालूम कितनी है हमें चाहत
दिलाना भी यक़ीं चाहें मगर नाकाम होते हैं

  - Umashankar Lekhwar

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umashankar Lekhwar

As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar

Similar Writers

our suggestion based on Umashankar Lekhwar

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari