ye theek jaana haan meri koii kahaani bhi nahin | ये ठीक जाना हाँ मेरी कोई कहानी भी नहीं - Umashankar Lekhwar

ye theek jaana haan meri koii kahaani bhi nahin
ismein magar phir aapki hi meherbaani bhi nahin

kuch baat thi jo zindagi ko bhi buri to lag gai
kuch baat thi jo zindagi kii maine jaani bhi nahin

koii asar bhi ho na paaya mujhpe to jin baaton ka
kuch baat thi un baaton mein vo baatein maani bhi nahin

socha to hai jeeni hai hamko baaki hai jo zindagi
ham ab kahein kya zindagi hamko bitaani bhi nahin

yun to jiye hamne bhi honge din mohabbat ke liye
haan ab hamaare paas to koii nishaani bhi nahin

haan ek kissa yaad bhi hai jo sunaana tha magar
main bhool jaata hoon meri koii kahaani bhi nahin

ये ठीक जाना हाँ मेरी कोई कहानी भी नहीं
इसमें मगर फिर आपकी ही मेहरबानी भी नहीं

कुछ बात थी जो ज़िंदगी को भी बुरी तो लग गई
कुछ बात थी जो ज़िंदगी की मैंने जानी भी नहीं

कोई असर भी हो न पाया मुझपे तो जिन बातों का
कुछ बात थी उन बातों में वो बातें मानी भी नहीं

सोचा तो है जीनी है हमको बाक़ी है जो ज़िंदगी
हम अब कहें क्या ज़िंदगी हमको बितानी भी नहीं

यूँ तो जिए हमने भी होंगे दिन मोहब्बत के लिए
हाँ अब हमारे पास तो कोई निशानी भी नहीं

हाँ एक क़िस्सा याद भी है जो सुनाना था मगर
मैं भूल जाता हूँ मेरी कोई कहानी भी नहीं

- Umashankar Lekhwar
1 Like

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umashankar Lekhwar

As you were reading Shayari by Umashankar Lekhwar

Similar Writers

our suggestion based on Umashankar Lekhwar

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari