tilmilaate hain dua se dil-jale ahbaab mein | तिलमिलाते हैं दुआ से दिल-जले अहबाब में

  - Wasim Jamshedpuri

tilmilaate hain dua se dil-jale ahbaab mein
aaj kal aate hain mere zaawiye surkhaab mein

kaun tha jo naam apna likh gaya dushman numa
saath ik be-noor saaya hai rah-e-betaab mein

ab usi waqfe mein hi aa jaaye to kar loo qubool
maut jo ta'aamir hoti ek mere khwaab mein

zindagi apni hai kaagaz sa safeena aashna
ai khuda taqdeer koi daal joo-e-aab mein

is kitaab-e-zindagi ka ham ne dekha hai asar
sab haqeeqat sab hain afsaane nashe naayaab mein

तिलमिलाते हैं दुआ से दिल-जले अहबाब में
आज कल आते हैं मेरे ज़ाविये सुरख़ाब में

कौन था जो नाम अपना लिख गया दुश्मन नुमा
साथ इक बे-नूर साया है रह-ए-बेताब में

अब उसी वक़्फ़े में ही आ जाए तो कर लू क़बूल
मौत जो ता'मीर होती एक मेरे ख़्वाब में

ज़िंदगी अपनी है काग़ज़ सा सफ़ीना आश्ना
ऐ ख़ुदा तक़दीर कोई डाल जू-ए-आब में

इस किताब-ए-ज़िंदगी का हम ने देखा है असर
सब हक़ीक़त सब हैं अफ़साने नशे नायाब में

  - Wasim Jamshedpuri

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wasim Jamshedpuri

As you were reading Shayari by Wasim Jamshedpuri

Similar Writers

our suggestion based on Wasim Jamshedpuri

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari