haraa jo zakham hai mera wahin har vaar hota hai | हरा जो जख़्म है मेरा वहीं हर वार होता है

  - Mohammad Aquib Khan

haraa jo zakham hai mera wahin har vaar hota hai
mohabbat hai ki mansooba jo ye har baar hota hai

raqeebon se tera milna hai lagta vaar khanjar ka
ye bas zakhami nahin karta ye dil ke paar hota hai

khuda ki bakshi nemat par jo itna sab hai itraate
numaish jo nahin karta wahin fankaar hota hai

diwali eed me pehle the kaise ham gale milte
abhi to facebook insta pe sab tyaohar hota hai

ye fankaari ka ohda hai sifaarish se nahin milta
ye kursi uski hoti hai jo ke haqdaar hota hai

sitam karte hai jo hampar sitamgar vo sabhi sun le
jo paani sar se badhta hai to phir yalgaar hota hai

sahaara nakhuda jiska use hai doobne ka dar
jo tairaaki me awwal ho nadi ke paar hota hai

हरा जो जख़्म है मेरा वहीं हर वार होता है
मोहब्बत है कि मंसूबा जो ये हर बार होता है

रक़ीबों से तेरा मिलना है लगता वार खंजर का
ये बस ज़ख़्मी नहीं करता ये दिल के पार होता है

ख़ुदा की बक्शी नेमत पर जो इतना सब है इतराते
नुमाइश जो नहीं करता वही फ़नकार होता है

दिवाली ईद मे पहले थे कैसे हम गले मिलते
अभी तो फेसबुक इंस्टा पे सब त्यौहार होता है

ये फ़नकारी का ओहदा है सिफ़ारिश से नहीं मिलता
ये कुर्सी उसकी होती है जो के हक़दार होता है

सितम करते है जो हमपर सितमगर वो सभी सुन ले
जो पानी सर से बढ़ता है तो फिर यलगार होता है

सहारा नाख़ुदा जिसका उसे है डूबने का डर
जो तैराकी मे अव्वल हो नदी के पार होता है

  - Mohammad Aquib Khan

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari