log vo haqim-o-sardaar nahin ho sakte | लोग वो हाक़िम-ओ-सरदार नहीं हो सकते

  - Mohammad Aquib Khan

log vo haqim-o-sardaar nahin ho sakte
jo bhi aawaam ke ghamkhaar nahin ho sakte

jis ne kaandhon pe utha rakhi hai zimmedaari
vo kisi waqt bhi beemaar nahin ho sakte

khushnaseebi ye mere haq me mulaqaatein hain
palakar ye ki haqdaar nahin ho sakte

chot lohaar ki padne pe jo cheekh uthe
aise lohe kabhi talwaar nahin ho sakte

jo gurur-o-ana ke saaye me badhte hain vo
ped ban jaayen samarbaar nahin ho sakte

jisne ganga mein wuzoo karke namaazen hain padhi
vo kabhi mulk ke gaddaar nahin ho sakte

लोग वो हाक़िम-ओ-सरदार नहीं हो सकते
जो भी आवाम के ग़मख़ार नहीं हो सकते

जिस ने कांधों पे उठा रक्खी है ज़िम्मेदारी
वो किसी वक़्त भी बीमार नहीं हो सकते

ख़ुशनसीबी ये मेरे हक़ मे मुलाक़ातें हैं
बदनसीबी ये कि हक़दार नहीं हो सकते

चोट लोहार की पड़ने पे जो चीख़ उठे
ऐसे लोहे कभी तलवार नहीं हो सकते

जो गुरुर-ओ-अना के साये मे बढ़ते हैं वो
पेड़ बन जाएँ समरबार नहीं हो सकते

जिसने गंगा में वुज़ू करके नमाज़ें हैं पढ़ी
वो कभी मुल्क के ग़द्दार नहीं हो सकते

  - Mohammad Aquib Khan

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari