jinko ulfaten apni sarhadon se hoti hain
mulq ki shama raushan un gharo se hoti hai
yun to chaand taaron ki ahmiyat bahut hai par
khoobsurati shab ki jugnoo'on se hoti hain
ye khuda ki nemat hai qadr keejiye inki
azmate gharaanon ki betiyon se hoti hain
teer barchiyaan tarkash ye mahz ta'kalluf hai
jeet jang me apne hauslon se hoti hain
ye na sochna ke ham mar rahe hai khilvat mein
meri guftagoo teri khushbuon se hoti hain
baatein bhi vo itni paakizagi se karta hain
jaise lehron ki baatein sahilon se hoti hain
roz vo siyaasat ko aaina dikhaate hain
aisi juraten to bas shaa'iro se hoti hain
जिनको उल्फ़तें अपनी सरहदों से होती हैं
मुल्क़ की शमा रौशन उन घरों से होती है
यूँ तो चाँद तारों की अहमियत बहुत है पर
ख़ूबसूरती शब की जुगनूओं से होती हैं
ये ख़ुदा की नेमत है कद्र कीजिये इनकी
अज़मते घरानों की बेटियों से होती हैं
तीर, बरछियाँ, तरकश ये महज़ त'कल्लुफ है
जीत जंग मे अपने हौसलों से होती हैं
ये न सोचना के हम मर रहे है ख़ल्वत में
मेरी गुफ़्तगू तेरी ख़ुशबुओं से होती हैं
बातें भी वो इतनी पाकीज़गी से करता हैं
जैसे लहरों की बातें साहिलों से होती हैं
रोज़ वो सियासत को आईना दिखाते हैं
ऐसी जुरअतें तो बस शा'इरों से होती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan
our suggestion based on Mohammad Aquib Khan
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari