zab bhi kahi bhi baithe ikatthe tamaam log
bas aapke hi karte hai charche tamaam log
baaton hi baaton me kisi ka naam aa gaya
aur phir hamaare saath mein roye tamaam log
hamne wahan pe isliye bhi na padhi ghazal
padhte agar to aap pe hanste tamaam log
dushman nen jang mein use saalaari saunp di
phir kya usi ke ho gaye mere tamaam log
ज़ब भी कहीं भी बैठे इक्टठे, तमाम लोग
बस आपके ही करते है चर्चे, तमाम लोग
बातों ही बातों मे किसी का नाम आ गया
और फिर हमारे साथ में रोये, तमाम लोग
हमने वहाँ पे इसलिए भी ना पढ़ी ग़ज़ल
पढ़ते अगर तो आप पे हँसते, तमाम लोग
दुश्मन नें जंग में उसे सालारी सौंप दी
फिर क्या! उसी के हो गए मेरे, तमाम लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan
our suggestion based on Mohammad Aquib Khan
As you were reading Rahbar Shayari Shayari