kabhi tashreef mehfil mein uthakar dekh lete hain
bahut chaalaak hain nazarein chura kar dekh lete hain
kisi ke haath se photo manga kar dekh lete hain
kabhi gehuun ke kheton mein bulaakar dekh lete hain
talab ho bhi agar deedaar kii to raat mein uthkar
mujhe kamre mein chupke se jaga kar dekh lete hain
suna hai phool khil jaate hain unke muskuraane se
agar ye baat hai to gudguda kar dekh lete hain
kamar jab bhi hile to naaf se naafa nikalta hai
agar ye baat hai to chal hila kar dekh lete hain
कभी तशरीफ़ महफ़िल में उठाकर देख लेते हैं
बहुत चालाक हैं नज़रें चुरा कर देख लेते हैं
किसी के हाथ से फोटो मँगा कर देख लेते हैं
कभी गेहूँ के खेतों में बुलाकर देख लेते हैं
तलब हो भी अगर दीदार की तो रात में उठकर
मुझे कमरे में चुपके से जगा कर देख लेते हैं
सुना है फूल खिल जाते हैं उनके मुस्कुराने से
अगर ये बात है तो गुदगुदा कर देख लेते हैं
कमर जब भी हिले तो नाफ़ से नाफ़ा निकलता है
अगर ये बात है तो चल हिला कर देख लेते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Nazar Shayari Shayari