kis qadar dil ko dukhaate hain zamaane waale
dekh to zakhm ubhar aaye purane waale
raahzan to are badnaam hue hain yun hi
qaafila loot rahe raah dikhaane waale
ham bhi bas khwaab hi to dekh rahe hain tab se
kya khabar ab kahaan hain lori sunaane waale
badi mushkil se hua zakhm-e-kuhan theek mera
ab bulao kahaan hain dil ko dukhaane waale
ab kahaan jaayen samajh mein hi nahin aata kuchh
har jagah loot rahe apna bataane waale
is mohabbat se hamein lagne laga hai dar ab
kyunki dil tod rahe dil mein samaane waale
munsifon ne kiya hai mujhko mawali ghoshit
ab bulao kahaan hain ungli uthaane waale
किस क़दर दिल को दुखाते हैं ज़माने वाले
देख तो ज़ख़्म उभर आए पुराने वाले
राहज़न तो अरे बदनाम हुए हैं यूँ ही
क़ाफ़िला लूट रहे राह दिखाने वाले
हम भी बस ख़्वाब ही तो देख रहे हैं तब से
क्या ख़बर अब कहाँ हैं लोरी सुनाने वाले
बड़ी मुश्किल से हुआ ज़ख़्म-ए-कुहन ठीक मिरा
अब बुलाओ कहाँ हैं दिल को दुखाने वाले
अब कहाँ जाएँ समझ में ही नहीं आता कुछ
हर जगह लूट रहे अपना बताने वाले
इस मोहब्बत से हमें लगने लगा है डर अब
क्यूँकि दिल तोड़ रहे दिल में समाने वाले
मुंसिफ़ों ने किया है मुझको मवाली घोषित
अब बुलाओ कहाँ हैं उँगली उठाने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari