may-kashi teri nigaahon mein nazar aati hai
dekh ke tujhko qayamat bhi thehar jaati hai
may-kade kii koii auqaat nahin tere bin
may khudi toot ke bottle se bikhar jaati hai
taab-e-'aariz se tumhaare may-e-kausar chhodo
sone chaandi kii talak qeemat utar jaati hai
jab sahaara na mile toote hue se dil ko
phir to saaqi bhi nigaahon se utar jaati hai
ilm-daan to mujhe pothi mein dhara karte hain
rind kii mujhse ki taqdeer sanwar jaati hai
yaar vo baat nahin ab kisoo bhi sahaba mein
shaam ko pee lo savere hi utar jaati hai
hoor bhi husn-e-mujassam se tire zinda hain
aire-ghaire kii to soorat hi nikhar jaati hai
मय-कशी तेरी निगाहों में नजर आती है
देख के तुझको क़यामत भी ठहर जाती है
मय-कदे की कोई औक़ात नहीं तेरे बिन
मय ख़ुदी टूट के बोतल से बिखर जाती है
ताब-ए-'आरिज़ से तुम्हारे मय-ए-कौसर छोड़ो
सोने चाँदी की तलक क़ीमत उतर जाती है
जब सहारा न मिले टूटे हुए से दिल को
फिर तो साक़ी भी निगाहों से उतर जाती है
इल्म-दाँ तो मुझे पोथी में धरा करते हैं
रिंद की मुझसे कि तक़दीर सँवर जाती है
यार वो बात नहीं अब किसू भी सहबा में
शाम को पी लो सवेरे ही उतर जाती है
हूर भी हुस्न-ए-मुजस्सम से तिरे ज़िंदा हैं
ऐरे-ग़ैरे की तो सूरत ही निखर जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Dosti Shayari Shayari