yaa koi bhi hindu ya musalmaan nahin hai | याँ कोई भी हिंदू या मुसलमान नहीं है - Prashant Kumar

yaa koi bhi hindu ya musalmaan nahin hai
insaan ko insaan ki pehchaan nahin hai

maa-baap mein hi khaaliq-e-kaunain basa hai
patthar mein kisi qaum ka bhagwaan nahin hai

ye qarz buzurgon se viraasat mein mila hai
ye gardish-e-ayyaam ka chaalaan nahin hai

vaise to bahadur hai zamaane mein har ik shay
par waqt ke jaisa koi balwaan nahin hai

waqif hain sabhi log bagaavat se hamaari
bas ek wahi hai jo pareshaan nahin hai

ye pursish-e-a'aamal mein maaloom hua hai
deewaan-e-'adl mein koi insaan nahin hai

deewaan-e-risaalat ko do paighaam hamaara
ye mulk koi jhanjh ka samaan nahin hai

याँ कोई भी हिंदू या मुसलमान नहीं है
इंसान को इंसान की पहचान नहीं है

माँ-बाप में ही ख़ालिक़-ए-कौनैन बसा है
पत्थर में किसी क़ौम का भगवान नहीं है

ये क़र्ज़ बुज़ुर्गों से विरासत में मिला है
ये गर्दिश-ए-अय्याम का चालान नहीं है

वैसे तो बहादुर है ज़माने में हर इक शय
पर वक़्त के जैसा कोई बलवान नहीं है

वाक़िफ़ हैं सभी लोग बग़ावत से हमारी
बस एक वही है जो परेशान नहीं है

ये पुर्सिश-ए-आ'माल में मालूम हुआ है
दीवान-ए-'अदल में कोई इंसान नहीं है

दीवान-ए-रिसालत को दो पैग़ाम हमारा
ये मुल्क कोई झाँझ का सामान नहीं है

- Prashant Kumar
0 Likes

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari