waqt | "वक़्त"

  - Prashant Kumar

waqt
ye waqt hi hai jisne
kisoo ko dukh mein hansa diya
kisoo ko khushi mein rula diya
kisoo ko din mein sula diya
kisoo ko shab mein utha diya
ye waqt hi hai jo
kabhu ghar ko ujaad de
kabhu ghar ko sanwaar de
kabhu de sabz jaa-b-jaa
kabhu bahaar cheen le
ye kaun hai ye kaun hai
ye waqt hai ye waqt hai
usool ka sakht hai
jab isne paase palat diye
faqeer seth ho gaye
chuhe sher ho gaye
isi se laathiyaan chaliin
isi se hastiyaan mittiin
isi se baaziyaan kateen
isi se bastiyaan jali
isi se goliyaan chaliin
waqt kii jang mein
kisoo ne haath kho diya
kisoo ne kuchh ganwa diya
yah waqt hi hai jisne
ek se ek dhurandhar ko
maati mein mila diya
buland jiske hausale
qadar jo waqt kii jaanta
waqt usi ka haseen hai
jiska waqt haseen hai
samjho vo nawaab hai
jo isse anjaan hai
uska waqt kharab hai

"वक़्त"
ये वक़्त ही है जिसने
किसू को दुख में हँसा दिया
किसू को ख़ुशी में रुला दिया
किसू को दिन में सुला दिया
किसू को शब में उठा दिया
ये वक़्त ही है जो
कभू घर को उजाड़ दे
कभू घर को सँवार दे
कभू दे सब्ज़ जा-ब-जा
कभू बहार छीन ले
ये कौन है ये कौन है
ये वक़्त है ये वक़्त है
उसूल का सख़्त है
जब इसने पासे पलट दिए
फ़क़ीर सेठ हो गए
चूहे शेर हो गए
इसी से लाठियाँ चलीं
इसी से हस्तियाँ मिटीं
इसी से बाज़ियाँ कटीं
इसी से बस्तियाँ जलीं
इसी से गोलियाँ चलीं
वक़्त की जंग में
किसू ने हाथ खो दिया
किसू ने कुछ गँवा दिया
यह वक़्त ही है जिसने
एक से एक धुरंधर को
माटी में मिला दिया
बुलंद जिसके हौसले
क़दर जो वक़्त की जानता
वक़्त उसी का हसीन है
जिसका वक़्त हसीन है
समझो वो नवाब है
जो इससे अनजान है
उसका वक़्त ख़राब है

  - Prashant Kumar

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari