us ped ko chhua to samar-daar ho gaya | उस पेड़ को छुआ तो समर-दार हो गया - Afzal Minhas

us ped ko chhua to samar-daar ho gaya
phir jaane kya hua vo sharar-baar ho gaya

mausam ki bhool thi ki meri dastaras ki baat
patthar se ek phool numoodaar ho gaya

bikhre hue hain dil mein meri khwahishon ke rang
ab main bhi ik saja hua bazaar ho gaya

ik baar main bhi khwaab mein baitha tha takht par
aankhen khuliin to aur bhi nadaar ho gaya

pehle to sar ko phod liya us ko dekh kar
phir main bhi ek rauzan-e-deewar ho gaya

vaise tamaam umr meri neend mein kati
ghar mein naqab lagi to main bedaar ho gaya

yaaro ye zindagi ka makaan bhi ajeeb hai
ta'aamir ho gaya kabhi mismar ho gaya

lafzon ke phool aanch si dene lage mujhe
bebaak aaj sho'la-e-guftaar ho gaya

dushman nazar pada to mittiin ranjishen tamaam
ladne ko saara shehar hi taiyyaar ho gaya

mujrim bari hua to kai qatl ho gaye
basti ka ik gareeb girftaar ho gaya

afzal kuch is tarah ki achaanak hawa chali
saansen bahaal rakhna bhi dushwaar ho gaya

उस पेड़ को छुआ तो समर-दार हो गया
फिर जाने क्या हुआ वो शरर-बार हो गया

मौसम की भूल थी कि मिरी दस्तरस की बात
पत्थर से एक फूल नुमूदार हो गया

बिखरे हुए हैं दिल में मिरी ख़्वाहिशों के रंग
अब मैं भी इक सजा हुआ बाज़ार हो गया

इक बार मैं भी ख़्वाब में बैठा था तख़्त पर
आँखें खुलीं तो और भी नादार हो गया

पहले तो सर को फोड़ लिया उस को देख कर
फिर मैं भी एक रौज़न-ए-दीवार हो गया

वैसे तमाम उम्र मिरी नींद में कटी
घर में नक़ब लगी तो मैं बेदार हो गया

यारो ये ज़िंदगी का मकाँ भी अजीब है
ता'मीर हो गया कभी मिस्मार हो गया

लफ़्ज़ों के फूल आँच सी देने लगे मुझे
बेबाक आज शो'ला-ए-गुफ़्तार हो गया

दुश्मन नज़र पड़ा तो मिटीं रंजिशें तमाम
लड़ने को सारा शहर ही तय्यार हो गया

मुजरिम बरी हुआ तो कई क़त्ल हो गए
बस्ती का इक ग़रीब गिरफ़्तार हो गया

'अफ़ज़ल' कुछ इस तरह की अचानक हवा चली
साँसें बहाल रखना भी दुश्वार हो गया

- Afzal Minhas
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari