kaanch ki zanjeer tooti to sada bhi aayegi | काँच की ज़ंजीर टूटी तो सदा भी आएगी - Afzal Minhas

kaanch ki zanjeer tooti to sada bhi aayegi
aur bhare bazaar mein tujh ko haya bhi aayegi

itr mein kapde basa kar mutmain hai kis liye
ba-wafa huu ja ki yun boo-e-wafa bhi aayegi

dekh le saahil se jee bhar ke machalti lehar ko
is taraf kuch der mein mauj-e-fana bhi aayegi

doodhiya naazuk gale mein baandh le ta'aweez ko
aaj sunta hoon ki basti mein bala bhi aayegi

raat ke pichhle pahar dastak ka rakh lena khayal
patte kharkenge zara aawaaz-e-paa bhi aayegi

ujli ujli khwahishon par neend ki chadar na daal
yaad ke rozan se kuch taaza hawa bhi aayegi

ja chuke saare bagule fikr ki kya baat hai
khet ko sairaab karne ab ghatta bhi aayegi

daur ke logon ko nazaron mein basa kar dekh le
qurb mil jaayega aankhon mein jila bhi aayegi

shehr-e-naa-pursaan ke manzar naqsh kar le zehan mein
aankh raaste mein koi manzar gira bhi aayegi

dil ki masjid mein kabhi padh le tahajjud ki namaaz
phir sehar ke waqt honton par dua bhi aayegi

zindagi ka ye marz afzal chala hi jaayega
tere haathon mein kabhi khaak-e-shifa bhi aayegi

काँच की ज़ंजीर टूटी तो सदा भी आएगी
और भरे बाज़ार में तुझ को हया भी आएगी

इत्र में कपड़े बसा कर मुतमइन है किस लिए
बा-वफ़ा हू जा कि यूँ बू-ए-वफ़ा भी आएगी

देख ले साहिल से जी भर के मचलती लहर को
इस तरफ़ कुछ देर में मौज-ए-फ़ना भी आएगी

दूधिया नाज़ुक गले में बाँध ले ता'वीज़ को
आज सुनता हूँ कि बस्ती में बला भी आएगी

रात के पिछले पहर दस्तक का रख लेना ख़याल
पत्ते खड़केंगे ज़रा आवाज़-ए-पा भी आएगी

उजली उजली ख़्वाहिशों पर नींद की चादर न डाल
याद के रौज़न से कुछ ताज़ा हवा भी आएगी

जा चुके सारे बगूले फ़िक्र की क्या बात है
खेत को सैराब करने अब घटा भी आएगी

दौर के लोगों को नज़रों में बसा कर देख ले
क़ुर्ब मिल जाएगा आँखों में जिला भी आएगी

शहर-ए-ना-पुरसाँ के मंज़र नक़्श कर ले ज़ेहन में
आँख रस्ते में कोई मंज़र गिरा भी आएगी

दिल की मस्जिद में कभी पढ़ ले तहज्जुद की नमाज़
फिर सहर के वक़्त होंटों पर दुआ भी आएगी

ज़िंदगी का ये मरज़ 'अफ़ज़ल' चला ही जाएगा
तेरे हाथों में कभी ख़ाक-ए-शिफ़ा भी आएगी

- Afzal Minhas
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari