mujhe batlaaiye ab kaun si jeene ki soorat hai | मुझे बतलाईए अब कौन सी जीने की सूरत है - Afzal Minhas

mujhe batlaaiye ab kaun si jeene ki soorat hai
zamaana is ghane jungle mein ik cheete ki soorat hai

bikharte jism le kar tund toofaanon mein baithe hain
koi zarre ki soorat hai koi teele ki soorat hai

chura laaya tha aankhon mein jo ik tasveer duniya ki
vo ab sehra mein ik sahme hue bacche ki soorat hai

meri tahreer ke har lafz mein zinda hain aawaazen
magar hairaan hoon chehra mera katbe ki soorat hai

ye kaisi aag hai afzal jale saaye bhi pedon ke
dhuen mein kis taraf jaaun ajab raaste ki soorat hai

मुझे बतलाईए अब कौन सी जीने की सूरत है
ज़माना इस घने जंगल में इक चीते की सूरत है

बिखरते जिस्म ले कर तुंद तूफ़ानों में बैठे हैं
कोई ज़र्रे की सूरत है कोई टीले की सूरत है

चुरा लाया था आँखों में जो इक तस्वीर दुनिया की
वो अब सहरा में इक सहमे हुए बच्चे की सूरत है

मिरी तहरीर के हर लफ़्ज़ में ज़िंदा हैं आवाज़ें
मगर हैरान हूँ चेहरा मिरा कत्बे की सूरत है

ये कैसी आग है 'अफ़ज़ल' जले साए भी पेड़ों के
धुएँ में किस तरफ़ जाऊँ अजब रस्ते की सूरत है

- Afzal Minhas
0 Likes

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari