jo shakhs bhi mila hai vo ik zinda laash hai | जो शख़्स भी मिला है वो इक ज़िंदा लाश है - Afzal Minhas

jo shakhs bhi mila hai vo ik zinda laash hai
insaan ki daastaan badi dil-kharaash hai

daaman dareeda qalb-o-nazar zakham zakham hain
ab shehr-e-aarzoo mein yahi bood-o-baash hai

bas ab to rah gai hai dikhaave ki zindagi
saanson ke taar taar mein ek irti'aash hai

mitti ne pee liya hai hararat bhara lahu
josh-e-numoo mila to badan qaash qaash hai

kaanton ne bhi khizaan ki ghulaami qubool ki
dekho to aaj chehra-e-gul pur-kharaash hai

vo daur ab kahaan ki tumhaari ho justuju
is daur mein to hum ko khud apni talash hai

afzal vo ban sanwar ke to aa jaayenge kabhi
aaina-e-hayaat magar paash paash hai

जो शख़्स भी मिला है वो इक ज़िंदा लाश है
इंसाँ की दास्तान बड़ी दिल-ख़राश है

दामन दरीदा क़ल्ब-ओ-नज़र ज़ख़्म ज़ख़्म हैं
अब शहर-ए-आरज़ू में यही बूद-ओ-बाश है

बस अब तो रह गई है दिखावे की ज़िंदगी
साँसों के तार तार में एक इर्तिआ'श है

मिट्टी ने पी लिया है हरारत भरा लहू
जोश-ए-नुमू मिला तो बदन क़ाश क़ाश है

काँटों ने भी ख़िज़ाँ की ग़ुलामी क़ुबूल की
देखो तो आज चेहरा-ए-गुल पुर-ख़राश है

वो दौर अब कहाँ कि तुम्हारी हो जुस्तुजू
इस दौर में तो हम को ख़ुद अपनी तलाश है

'अफ़ज़ल' वो बन सँवर के तो आ जाएँगे कभी
आईना-ए-हयात मगर पाश पाश है

- Afzal Minhas
0 Likes

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari