log hansne ke liye rote hain akshar dehr mein | लोग हँसने के लिए रोते हैं अक्सर दहर में - Afzal Minhas

log hansne ke liye rote hain akshar dehr mein
talkhiyaan khud hi mila lete hain meethe zahar mein

pyaar ke chashmon ka paani jab se khaara ho gaya
saari duniya ghir gai hai nafratoin ke qahar mein

waqt kehta hai ubharte doobte chehron ko dekh
aaj to raunaq badi hai haadson ki nahar mein

jaane ye hiddat chaman ko raas aaye ya nahin
aag jaisi kaifiyat hai khushbuon ki lehar mein

hum ne palkon par saja rakhe hain ashkon ke charaagh
ek mela sa laga hai raushni ke shehar mein

chand aawaazen ta'aqub mein hain afzal aaj bhi
qurbaton ka shahad hai tanhaaiyon ke zahar mein

लोग हँसने के लिए रोते हैं अक्सर दहर में
तल्ख़ियाँ ख़ुद ही मिला लेते हैं मीठे ज़हर में

प्यार के चश्मों का पानी जब से खारा हो गया
सारी दुनिया घिर गई है नफ़रतों के क़हर में

वक़्त कहता है उभरते डूबते चेहरों को देख
आज तो रौनक़ बड़ी है हादसों की नहर में

जाने ये हिद्दत चमन को रास आए या नहीं
आग जैसी कैफ़ियत है ख़ुशबुओं की लहर में

हम ने पलकों पर सजा रखे हैं अश्कों के चराग़
एक मेला सा लगा है रौशनी के शहर में

चंद आवाज़ें तआ'क़ुब में हैं 'अफ़ज़ल' आज भी
क़ुर्बतों का शहद है तन्हाइयों के ज़हर में

- Afzal Minhas
0 Likes

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Minhas

As you were reading Shayari by Afzal Minhas

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Minhas

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari