khush-qismat hain vo jo gaav mein lambi taan ke sote hain | ख़ुश-क़िस्मत हैं वो जो गाँव में लम्बी तान के सोते हैं - Afzal Parvez

khush-qismat hain vo jo gaav mein lambi taan ke sote hain
hum to shehar ke shor mein shab-bhar apni jaan ko rote hain

kis kis dard ko apnaayein aur kis kis zakham ko sahlaayein
dekhti aankhon qadam qadam par kai hawadis hote hain

dil ki dilli loot gai is ke aivaanon mein ghadar machi
khuddaari ke mughal shehzaade shehar mein thalya dhote hain

khush-lahnon ke liye gulshan bhi kunj-e-qafas ban jaaye to
jabr ke gun gaate hain ya nagmon mein dard samote hain

shaam ne din ka saath chhudaaya raat ne dasht mein aan liya
aise safar mein rahgiiron par saans bhi doobhar hote hain

main to apni jaan pe khel ke pyaar ki baazi jeet gaya
qaateel haar gaye jo ab tak khoon ke chheente dhote hain

dil ke ziyaan ka sabab kya poocho un toofaanon ko dekho
jin ke bhanwar saahil ke safeenon ko bhi aan dubote hain

parvez aaj nahin milti hai khum ke bhaav talchat bhi
is par turra ye hai ki saaqi nashtar-e-ta'an chubhote hain

ख़ुश-क़िस्मत हैं वो जो गाँव में लम्बी तान के सोते हैं
हम तो शहर के शोर में शब-भर अपनी जान को रोते हैं

किस किस दर्द को अपनाएँ और किस किस ज़ख़्म को सहलाएँ
देखती आँखों क़दम क़दम पर कई हवादिस होते हैं

दिल की दिल्ली लुट गई इस के ऐवानों में ग़दर मची
ख़ुद्दारी के मुग़ल शहज़ादे शहर में ठल्या ढोते हैं

ख़ुश-लहनों के लिए गुलशन भी कुंज-ए-क़फ़स बन जाए तो
जब्र के गुन गाते हैं या नग़्मों में दर्द समोते हैं

शाम ने दिन का साथ छुड़ाया रात ने दश्त में आन लिया
ऐसे सफ़र में रहगीरों पर साँस भी दूभर होते हैं

मैं तो अपनी जान पे खेल के प्यार की बाज़ी जीत गया
क़ातिल हार गए जो अब तक ख़ून के छींटे धोते हैं

दिल के ज़ियाँ का सबब क्या पूछो उन तूफ़ानों को देखो
जिन के भँवर साहिल के सफ़ीनों को भी आन डुबोते हैं

'परवेज़' आज नहीं मिलती है ख़ुम के भाव तलछट भी
इस पर तुर्रा ये है कि साक़ी नश्तर-ए-ता'न चुभोते हैं

- Afzal Parvez
0 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Parvez

As you were reading Shayari by Afzal Parvez

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Parvez

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari