husn heere ki kani ho jaise | हुस्न हीरे की कनी हो जैसे - Afzal Parvez

husn heere ki kani ho jaise
aur meri jaan pe bani ho jaise

teri chitwan ke ajab tevar hain
sar pe talwaar tanee ho jaise

reza reza hue meena-o-ayaagh
rind-o-saaqi mein thani ho jaise

apni galiyon mein hain yun aawaara
ki ghareeb-ul-watani ho jaise

har musaafir tire kooche ko chala
us taraf chaanv ghani ho jaise

teri qurbat ki khumaar-aaginee
rut sharaabon mein sanee ho jaise

ye kashaaksh ki may-e-mard-afgan
teri palkon se chhani ho jaise

हुस्न हीरे की कनी हो जैसे
और मिरी जाँ पे बनी हो जैसे

तेरी चितवन के अजब तेवर हैं
सर पे तलवार तनी हो जैसे

रेज़ा रेज़ा हुए मीना-ओ-अयाग़
रिंद-ओ-साक़ी में ठनी हो जैसे

अपनी गलियों में हैं यूँ आवारा
कि ग़रीब-उल-वतनी हो जैसे

हर मुसाफ़िर तिरे कूचे को चला
उस तरफ़ छाँव घनी हो जैसे

तेरी क़ुर्बत की ख़ुमार-आगीनी
रुत शराबों में सनी हो जैसे

ये कशाकश की मय-ए-मर्द-अफ़्गन
तेरी पलकों से छनी हो जैसे

- Afzal Parvez
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Parvez

As you were reading Shayari by Afzal Parvez

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Parvez

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari