gard ude ya koi aandhi hi chale | गर्द उड़े या कोई आँधी ही चले - Afzal Parvez

gard ude ya koi aandhi hi chale
ye umas to kisi unwaan tale

ang par zakham liye khaak male
aan baithe hain tire mahal tale

apna ghar shehr-e-khamaoshaan sa hai
kaun aayega yahan shaam dhale

dil-e-parwaana pe kya guzregi
jab talak dhoop bujhe sham'a jale

roop ki jot hai kaala jaadu
ik chhalaava ki farishton ko chhale

daldalon mein bhi kanwal khilte hain
nakhl-e-ummeed bahtar bhale

apne hi rain-baseron ki taraf
laut aaye hain sabhi shaam dhale

may-kade mein to nasha batta hai
kaun yaa jaanche bure aur bhale

raushni dekh ke chundiya jaayen
jo andheron mein badhe aur pale

khaar to saif banega gul ki
ye bhale hi kisi gulchein ko khale

raat baaki hai abhi to parvez
baada sar-josh rahe daur chale

गर्द उड़े या कोई आँधी ही चले
ये उमस तो किसी उनवान टले

अंग पर ज़ख़्म लिए ख़ाक मले
आन बैठे हैं तिरे महल तले

अपना घर शहर-ए-ख़मोशाँ सा है
कौन आएगा यहाँ शाम ढले

दिल-ए-परवाना पे क्या गुज़रेगी
जब तलक धूप बुझे शम्अ' जले

रूप की जोत है काला जादू
इक छलावा कि फ़रिश्तों को छले

दलदलों में भी कँवल खिलते हैं
नख़्ल-ए-उम्मीद बहर-तौर भले

अपने ही रैन-बसेरों की तरफ़
लौट आए हैं सभी शाम ढले

मय-कदे में तो नशा बटता है
कौन याँ जाँचे बुरे और भले

रौशनी देख के चुँधिया जाएँ
जो अँधेरों में बढ़े और पले

ख़ार तो सैफ़ बनेगा गुल की
ये भले ही किसी गुलचीं को खले

रात बाक़ी है अभी तो 'परवेज़'
बादा सर-जोश रहे दौर चले

- Afzal Parvez
0 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Parvez

As you were reading Shayari by Afzal Parvez

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Parvez

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari