kaarzaar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yaab hon | कारज़ार-ए-इश्क़-ओ-सर-मस्ती में नुसरत-याब हों - Afzal Parvez

kaarzaar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yaab hon
vo junooni daar tak jaane ko jo betaab hoon

kohsaaron par sawa-neze pe suraj aaye to
chotiyon ki barf pighle vaadiyaan sairaab hon

doosre saahil pe koi sohni ho muntazir
hum mihinwaalon ke aage bahar bhi paayaab hoon

aafiyat paate hain khwaabon ke haseen behron mein log
jab har ik mauj-e-haqaaiq mein nihaan girdaab hon

कारज़ार-ए-इश्क़-ओ-सर-मस्ती में नुसरत-याब हों
वो जुनूनी दार तक जाने को जो बेताब हूँ

कोहसारों पर सवा-नेज़े पे सूरज आए तो
चोटियों की बर्फ़ पिघले वादियाँ सैराब हों

दूसरे साहिल पे कोई सोहनी हो मुंतज़िर
हम महींवालों के आगे बहर भी पायाब हूँ

आफ़ियत पाते हैं ख़्वाबों के हसीं बहरों में लोग
जब हर इक मौज-ए-हक़ाएक़ में निहाँ गिर्दाब हों

- Afzal Parvez
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Parvez

As you were reading Shayari by Afzal Parvez

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Parvez

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari