khud ko har din nayi turbat pe khada paate hain | ख़ुद को हर दिन नई तुर्बत पे खड़ा पाते हैं - Ahmad Aqeel

khud ko har din nayi turbat pe khada paate hain
ashk-e-khoon-rang bhi ab khatm hue chahte hain

bazm-e-hasti mein qayamat ka samaan lagta hai
log uthte hain aur uthte hi chale jaate hain

dil ko hai taab-o-tawaan aur na aankhon ko majaal
qadam uthte hain to peeche ki taraf aate hain

baat banti nazar aati nahin is aalam mein
ab kisi aur hi duniya ki hawa khaate hain

haadisa ye hai ki mehboob humein mil na saka
aur pa sakte nahin vo jinhen hum bhaate hain

ab kisi boo se lagao nahin hota hum ko
musht-e-khaak-e-dar-e-sarkaar utha laate hain

ख़ुद को हर दिन नई तुर्बत पे खड़ा पाते हैं
अश्क-ए-ख़ूँ-रंग भी अब ख़त्म हुए चाहते हैं

बज़्म-ए-हस्ती में क़यामत का समाँ लगता है
लोग उठते हैं और उठते ही चले जाते हैं

दिल को है ताब-ओ-तवाँ और न आँखों को मजाल
क़दम उठते हैं तो पीछे की तरफ़ आते हैं

बात बनती नज़र आती नहीं इस आलम में
अब किसी और ही दुनिया की हवा खाते हैं

हादिसा ये है कि महबूब हमें मिल न सका
और पा सकते नहीं वो जिन्हें हम भाते हैं

अब किसी बू से लगाओ नहीं होता हम को
मुश्त-ए-ख़ाक-ए-दर-ए-सरकार उठा लाते हैं

- Ahmad Aqeel
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Aqeel

As you were reading Shayari by Ahmad Aqeel

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Aqeel

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari