tere be-rabt bayaanaat se khauf aata hai | तेरे बे-रब्त बयानात से ख़ौफ़ आता है - Ahmad Aqeel

tere be-rabt bayaanaat se khauf aata hai
mujh ko ab shehar ke haalaat se khauf aata hai

awwal awwal main samajhta tha maseeha tujh ko
munsifaa ab tiri har baat se khauf aata hai

hum junoon-khez mizaajon ko nahin taab-e-shu'oor
waiz-e-shehr ke khutbaat se khauf aata hai

haan mujhe gosha-nasheeni se bahut ulfat thi
ab magar shorish-e-jazbaat se khauf aata hai

pehle sunta tha bade shauq se afsaana mera
ab use meri hikaayat se khauf aata hai

meri aankhon mein talaatum tiri aankhon mein sukoon
bas mujhe aise tazaadaat se khauf aata hai

तेरे बे-रब्त बयानात से ख़ौफ़ आता है
मुझ को अब शहर के हालात से ख़ौफ़ आता है

अव्वल अव्वल मैं समझता था मसीहा तुझ को
मुंसिफ़ा अब तिरी हर बात से ख़ौफ़ आता है

हम जुनूँ-ख़ेज़ मिज़ाजों को नहीं ताब-ए-शुऊ'र
वाइज़-ए-शहर के ख़ुतबात से ख़ौफ़ आता है

हाँ मुझे गोशा-नशीनी से बहुत उल्फ़त थी
अब मगर शोरिश-ए-जज़्बात से ख़ौफ़ आता है

पहले सुनता था बड़े शौक़ से अफ़्साना मिरा
अब उसे मेरी हिकायात से ख़ौफ़ आता है

मेरी आँखों में तलातुम तिरी आँखों में सुकून
बस मुझे ऐसे तज़ादात से ख़ौफ़ आता है

- Ahmad Aqeel
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Aqeel

As you were reading Shayari by Ahmad Aqeel

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Aqeel

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari