un ki har baat hi urdu mein sanad hai had hai | उन की हर बात ही उर्दू में सनद है हद है - Ahmad Aqeel

un ki har baat hi urdu mein sanad hai had hai
mera likha hua har lafz hi radd hai had hai

nazr-e-tashkeek na kar paak-nigaahi ko meri
tujh se milna bhi koi khwaahish-e-bad hai had hai

har naye panchi ko udne nahin deti duniya
har kisi dil mein bhara keena-o-kad hai had hai

mujh ko dekha jo sar-e-bazm to munh fer liya
apne va'don se ye ej'aaz-e-amd hai had hai

pehle khud hi mere khwaabon ko sabotaaj kiya
ab zaroorat hai meri aur ashd hai had hai

yun to ahbaab ki taadaad ziyaada hai magar
itni mushkil mein rasad hai na madad hai had hai

qais ke dar ka main sajjaada-nasheen hoon lekin
log kahte hain ki tu ahl-e-khirad hai had hai

उन की हर बात ही उर्दू में सनद है हद है
मेरा लिखा हुआ हर लफ़्ज़ ही रद्द है हद है

नज़्र-ए-तश्कीक न कर पाक-निगाही को मिरी
तुझ से मिलना भी कोई ख़्वाहिश-ए-बद है हद है

हर नए पंछी को उड़ने नहीं देती दुनिया
हर किसी दिल में भरा कीना-ओ-कद है हद है

मुझ को देखा जो सर-ए-बज़्म तो मुँह फेर लिया
अपने वा'दों से ये ए'राज़-ए-अमद है हद है

पहले ख़ुद ही मिरे ख़्वाबों को सबोताज़ किया
अब ज़रूरत है मिरी और अशद है हद है

यूँ तो अहबाब की तादाद ज़ियादा है मगर
इतनी मुश्किल में रसद है न मदद है हद है

क़ैस के दर का मैं सज्जादा-नशीं हूँ लेकिन
लोग कहते हैं कि तू अहल-ए-ख़िरद है हद है

- Ahmad Aqeel
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Aqeel

As you were reading Shayari by Ahmad Aqeel

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Aqeel

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari