aalam-e-zaat mein jhaanko koi kab achha hai | आलम-ए-ज़ात में झाँको कोई कब अच्छा है - Ahmad Aqeel

aalam-e-zaat mein jhaanko koi kab achha hai
dekhne waale samjhte hain ki sab achha hai

rone lagta hoon to aate hain dilaase dene
she'r padhta hoon to kahte hain ajab achha hai

jaanta hoon tu kisi aur se mil kar khush hai
chal tire pyaar mein marne ka sabab achha hai

jab faqeeron ki bhi kirdaar-kushi ki tu ne
kaise maanega koi tera nasab achha hai

haal poocha tha kisi ne tire deedaar ke ba'ad
baayein pahluu ko dabaya kaha ab achha hai

aakhiri baar mila baitha raha saari raat
jaane waale ki inaayat ka dhab achha hai

tu vo deepak hai ki shaidai hazaaron jis ke
mujh se be-yaar-o-madadgaar ka rab achha hai

आलम-ए-ज़ात में झाँको कोई कब अच्छा है
देखने वाले समझते हैं कि सब अच्छा है

रोने लगता हूँ तो आते हैं दिलासे देने
शे'र पढ़ता हूँ तो कहते हैं अजब अच्छा है

जानता हूँ तू किसी और से मिल कर ख़ुश है
चल तिरे प्यार में मरने का सबब अच्छा है

जब फ़क़ीरों की भी किरदार-कुशी की तू ने
कैसे मानेगा कोई तेरा नसब अच्छा है

हाल पूछा था किसी ने तिरे दीदार के बा'द
बाएँ पहलू को दबाया कहा अब अच्छा है

आख़िरी बार मिला बैठा रहा सारी रात
जाने वाले की इनायात का ढब अच्छा है

तू वो दीपक है कि शैदाई हज़ारों जिस के
मुझ से बे-यार-ओ-मददगार का रब अच्छा है

- Ahmad Aqeel
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Aqeel

As you were reading Shayari by Ahmad Aqeel

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Aqeel

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari