vo kisi aur samt jaate rahe | वो किसी और सम्त जाते रहे - Ahmad Aqeel

vo kisi aur samt jaate rahe
hum faqat apna dil jalate rahe

us ki angadaai kya qayamat thi
hum naye zaaviye banaate rahe

har taraf raat ka nazaara tha
dil bana kar diya jalate rahe

us ke lehje se lag raha tha ki hum
pattharon ko ghazal sunaate rahe

hum faqat zaahidaan-e-khushk nahin
baat bigdi hui banaate rahe

us ki aankhen theen aam si aankhen
hum-sukhan yoonhi dagmagate rahe

duniya roti rahi magar hum log
qahqahon mein kasak chhupaate rahe

वो किसी और सम्त जाते रहे
हम फ़क़त अपना दिल जलाते रहे

उस की अंगड़ाई क्या क़यामत थी
हम नए ज़ाविए बनाते रहे

हर तरफ़ रात का नज़ारा था
दिल बना कर दिया जलाते रहे

उस के लहजे से लग रहा था कि हम
पत्थरों को ग़ज़ल सुनाते रहे

हम फ़क़त ज़ाहिदान-ए-ख़ुश्क नहीं
बात बिगड़ी हुई बनाते रहे

उस की आँखें थीं आम सी आँखें
हम-सुख़न यूँही डगमगाते रहे

दुनिया रोती रही मगर हम लोग
क़हक़हों में कसक छुपाते रहे

- Ahmad Aqeel
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Aqeel

As you were reading Shayari by Ahmad Aqeel

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Aqeel

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari