main takhayyul ki saleebo pe jo masloob hua | मैं तख़य्युल की सलीबों पे जो मस्लूब हुआ - Ahmad Aqeel

main takhayyul ki saleebo pe jo masloob hua
phir kahi ja ke zara saahib-e-usloob hua

juraa'-e-ashk piya mast hua raqs kiya
aisa karwa na meri jaan koi mashroob hua

tere harjaai-pane ka ye hua radd-e-amal
mujhe mehboob mila hai na tujhe khoob hua

bar-sar-e-toor bhi tu ne ye tahayyur baanta
deed ki jot jagaai wahin mahjoob hua

lazzat-e-wasl mein nikla hoon biyaabaanon ki samt
log paagal hain mujhe kahte hain majzoob hua

ek arzee pe mujhe des-nikaala ki naved
itni ujlat se to iblees na ma'toob hua

nikhat-e-wasl se laut aati hai aankhon ki chamak
vaise raushan to nahin deeda-e-yaqoob hua

मैं तख़य्युल की सलीबों पे जो मस्लूब हुआ
फिर कहीं जा के ज़रा साहिब-ए-उसलूब हुआ

जुरआ'-ए-अश्क पिया मस्त हुआ रक़्स किया
ऐसा कड़वा न मिरी जाँ कोई मशरूब हुआ

तेरे हरजाई-पने का ये हुआ रद्द-ए-अमल
मुझे महबूब मिला है न तुझे ख़ूब हुआ

बर-सर-ए-तूर भी तू ने ये तहय्युर बाँटा
दीद की जोत जगाई वहीं महजूब हुआ

लज़्ज़त-ए-वस्ल में निकला हूँ बयाबानों की सम्त
लोग पागल हैं मुझे कहते हैं मज्ज़ूब हुआ

एक अर्ज़ी पे मुझे देस-निकाला की नवेद
इतनी उजलत से तो इबलीस न मा'तूब हुआ

निकहत-ए-वस्ल से लौट आती है आँखों की चमक
वैसे रौशन तो नहीं दीदा-ए-याक़ूब हुआ

- Ahmad Aqeel
0 Likes

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Aqeel

As you were reading Shayari by Ahmad Aqeel

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Aqeel

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari