chaandni jis ki dar-e-jaan pe hum akshar dekhen | चाँदनी जिस की दर-ए-जाँ पे हम अक्सर देखें - Ahmad Fakhir

chaandni jis ki dar-e-jaan pe hum akshar dekhen
kabhi us chaand ko bhi haath se choo kar dekhen

kaise bhar len dar-o-deewar pe awezaan hain
jis taraf dekhen tiri yaad ka manzar dekhen

kabhi baarish ki bhi raaton mein na chamki bijli
yahi armaan raha ghar ko munavvar dekhen

aankh khul jaaye to sehra ki zameen par hon qadam
neend aa jaaye to khwaabon mein samundar dekhen

toot jaane ka bhi imkaan bahut hai is mein
yun kamaanon ki tarah aap na khinch kar dekhen

shaam hote hi nikal aate hain taare faakhir
ik sitaare ka magar raasta shab-bhar dekhen

चाँदनी जिस की दर-ए-जाँ पे हम अक्सर देखें
कभी उस चाँद को भी हाथ से छू कर देखें

कैसे भर लें दर-ओ-दीवार पे आवेज़ाँ हैं
जिस तरफ़ देखें तिरी याद का मंज़र देखें

कभी बारिश की भी रातों में न चमकी बिजली
यही अरमान रहा घर को मुनव्वर देखें

आँख खुल जाए तो सहरा की ज़मीं पर हों क़दम
नींद आ जाए तो ख़्वाबों में समुंदर देखें

टूट जाने का भी इम्कान बहुत है इस में
यूँ कमानों की तरह आप न खिंच कर देखें

शाम होते ही निकल आते हैं तारे 'फ़ाख़िर'
इक सितारे का मगर रास्ता शब-भर देखें

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari