ik umr se jis ko liye firta hoon nazar mein | इक उम्र से जिस को लिए फिरता हूँ नज़र में - Ahmad Fakhir

ik umr se jis ko liye firta hoon nazar mein
vo roop hai suraj mein na vo rang sehar mein

chalti hain hawaaein to baras jaati hain aankhen
chhaaye hain tiri yaad ke baadal mere ghar mein

hairaan hue jaate hain mujhe dekhne waale
aaina mu'alliq hai mere deeda-e-tar mein

ik chaand ko choone ki tamannaa mein hoon paagal
baadal sa uda jaata hoon khwaabon ke safar mein

moti meri aankhon ne luta dale hain faakhir
khush-rang koi phool khila jab bhi jigar mein

इक उम्र से जिस को लिए फिरता हूँ नज़र में
वो रूप है सूरज में न वो रंग सहर में

चलती हैं हवाएँ तो बरस जाती हैं आँखें
छाए हैं तिरी याद के बादल मिरे घर में

हैराँ हुए जाते हैं मुझे देखने वाले
आईना मुअ'ल्लक़ है मिरे दीदा-ए-तर में

इक चाँद को छूने की तमन्ना में हूँ पागल
बादल सा उड़ा जाता हूँ ख़्वाबों के सफ़र में

मोती मिरी आँखों ने लुटा डाले हैं 'फ़ाख़िर'
ख़ुश-रंग कोई फूल खिला जब भी जिगर में

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari