ab chaand nahin koi sitaara nahin koi | अब चाँद नहीं कोई सितारा नहीं कोई - Ahmad Fakhir

ab chaand nahin koi sitaara nahin koi
shab itni andheri hai ki nikla nahin koi

har-chand nazar aati hai deewar-e-tamanna
chahein ki thehar jaayen to saaya nahin koi

chehron ko ye gham hai koi aaina nahin hai
aaina tarasta hai ki chehra nahin koi

jis se bhi milo dekh ke rah jaata hai munh ko
aisa bhi nahin hai ki shanaasa nahin koi

armaan tumhein fasl-e-gulistaan ka hai faakhir
shaakhon pe yahan phool to khilta nahin koi

अब चाँद नहीं कोई सितारा नहीं कोई
शब इतनी अँधेरी है कि निकला नहीं कोई

हर-चंद नज़र आती है दीवार-ए-तमन्ना
चाहें कि ठहर जाएँ तो साया नहीं कोई

चेहरों को ये ग़म है कोई आईना नहीं है
आईना तरसता है कि चेहरा नहीं कोई

जिस से भी मिलो देख के रह जाता है मुँह को
ऐसा भी नहीं है कि शनासा नहीं कोई

अरमान तुम्हें फ़स्ल-ए-गुलिस्ताँ का है 'फ़ाख़िर'
शाख़ों पे यहाँ फूल तो खिलता नहीं कोई

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari