sadiyon ke andhere mein utaara kare koi | सदियों के अँधेरे में उतारा करे कोई

  - Ahmad Faqih

sadiyon ke andhere mein utaara kare koi
suraj ko kisi roz hamaara kare koi

ik khauf sa bas ghoomta rehta hai saroon mein
duniya ka mere ghar se nazaara kare koi

rangon ka tasavvur bhi uda aankh se ab to
is shehar mein ab kaise guzaara kare koi

yun dard ne ummeed ke lad se mujhe baandha
daryaon ko jis tarah kinaara kare koi

eendhan se hua jin ke safar chaand ka mumkin
un ke bhi to choolhe ko sanwaara kare koi

raaton ki hukoomat mein mere khwaab ka taara
jeene ke liye jaise ishaara kare koi

ye aaj bhi apna hai faqih is ka bhi socho
kis tak yoonhi yaadon ko sahaara kare koi

सदियों के अँधेरे में उतारा करे कोई
सूरज को किसी रोज़ हमारा करे कोई

इक ख़ौफ़ सा बस घूमता रहता है सरों में
दुनिया का मिरे घर से नज़ारा करे कोई

रंगों का तसव्वुर भी उड़ा आँख से अब तो
इस शहर में अब कैसे गुज़ारा करे कोई

यूँ दर्द ने उम्मीद के लड़ से मुझे बाँधा
दरियाओं को जिस तरह किनारा करे कोई

ईंधन से हुआ जिन के सफ़र चाँद का मुमकिन
उन के भी तो चूल्हे को सँवारा करे कोई

रातों की हुकूमत में मिरे ख़्वाब का तारा
जीने के लिए जैसे इशारा करे कोई

ये आज भी अपना है 'फ़क़ीह' इस का भी सोचो
किस तक यूँही यादों को सहारा करे कोई

  - Ahmad Faqih

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faqih

As you were reading Shayari by Ahmad Faqih

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faqih

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari