charagaron ne baandh diya mujh ko bakht se | चारागरों ने बाँध दिया मुझ को बख़्त से

  - Ahmad Faqih

charagaron ne baandh diya mujh ko bakht se
chaanv mili na mujh ko dua ke darakht se

baitha tha main hisaar-e-falak mein zameen par
dushman ne fateh kheench li meri shikast se

main bhi to tha farefta khud apne-aap par
shikwa karoon main kya dil-e-nargis-parast se

giryaa ki saltanat mujhe degi shikast kya
cheeni hai main ne zindagi paani ke takht se

harf-e-dua pe gosh-bar-awaaz ho vo kyun
dil se kalaam hota hai maston ke mast se

hamd-o-sana sukhun ka nahin dil ka hai riyaaz
kaise sana karoon main dil-e-lakht-lakht se

ahl-e-khirad ise na samajh paayenge faqih
kuchh masale hain maavra fateh o shikast se

चारागरों ने बाँध दिया मुझ को बख़्त से
छाँव मिली न मुझ को दुआ के दरख़्त से

बैठा था मैं हिसार-ए-फ़लक में ज़मीन पर
दुश्मन ने फ़तह खींच ली मेरी शिकस्त से

मैं भी तो था फ़रेफ़्ता ख़ुद अपने-आप पर
शिकवा करूँ मैं क्या दिल-ए-नर्गिस-परस्त से

गिर्या की सल्तनत मुझे देगी शिकस्त क्या
छीनी है मैं ने ज़िंदगी पानी के तख़्त से

हर्फ़-ए-दुआ पे गोश-बर-आवाज़ हो वो क्यूँ
दिल से कलाम होता है मस्तों के मस्त से

हम्द-ओ-सना सुख़न का नहीं दिल का है रियाज़
कैसे सना करूँ मैं दिल-ए-लख़्त-लख़्त से

अहल-ए-ख़िरद इसे न समझ पाएँगे 'फ़क़ीह'
कुछ मसअले हैं मावरा फ़तह ओ शिकस्त से

  - Ahmad Faqih

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faqih

As you were reading Shayari by Ahmad Faqih

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faqih

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari