kaun si deewaron se main takraaya na
waqt se aage lekin main ja paaya na
saare aqeede habs ke ma'bad hain jin mein
kabhi hawa ka jhonka tak bhi aaya na
us ki yaad mein saari umr ganwa baitha
mera kabhi khayal bhi jis ko aaya na
us ne jab sannaate ki deewaar chuni
tum ne bhi to us dam shor machaaya na
jaane us ke lehje mein kya jaadu tha
kisi ne us ki baaton ko jhuthlaaya na
bas ik ka'be ka patthar hi bacha faqih
warna mujh par kaun sa patthar aaya na
कौन सी दीवारों से मैं टकराया न
वक़्त से आगे लेकिन मैं जा पाया न
सारे अक़ीदे हब्स के मा'बद हैं जिन में
कभी हवा का झोंका तक भी आया न
उस की याद में सारी उम्र गँवा बैठा
मेरा कभी ख़याल भी जिस को आया न
उस ने जब सन्नाटे की दीवार चुनी
तुम ने भी तो उस दम शोर मचाया न
जाने उस के लहजे में क्या जादू था
किसी ने उस की बातों को झुठलाया न
बस इक का'बे का पत्थर ही बचा 'फ़क़ीह'
वर्ना मुझ पर कौन सा पत्थर आया न
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faqih
our suggestion based on Ahmad Faqih
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari