khud hi sang-o-khisht khud hi sar-junoon-e-sar hoon main
khud hi main nakhchir daana khud hi baal-o-par hoon main
muntazir hoon ek qatre ka jo de izn-e-safar
jo tah-e-sehra hai mahv-e-khwaab vo saagar hoon main
chaand ko aabaad kar lekin meri fikr-o-nazar
dekh muddat se hai jo veeraan pada vo ghar hoon main
itna saada-dil ki dard-e-dil ke haq mein jaan doon
par dar-e-ka'ba na jaaun is qadar khud-sar hoon main
is qadar wahshi ki khud pee jaaun apna khoon-e-dil
itna shaista ki shehr-e-ishq ka dilbar hoon main
tishna-lab par kuchh adab waajib nahin daryaon ka
ye sabab hai jo rivaayat se khada baahar hoon main
chiyoontiyon ke renagne ki bhi sada aaye jahaan
itne chup sahme nagar mein zarb aahan-gar hoon main
is qadar tanhaa ki dar jaata hoon apni saans se
itna pecheeda ki apni zaat mein lashkar hoon main
saans aati bhi nahin aur jaan se jaati bhi nahin
hijr baahar tha to hijrat dard ke andar hoon main
chand ghadiyan aur hai ye habs ka mausam faqih
rukh hawa ka dekh saka hai jo deeda-war hoon main
ख़ुद ही संग-ओ-ख़िश्त ख़ुद ही सर-जुनून-ए-सर हूँ मैं
ख़ुद ही मैं नख़चीर दाना ख़ुद ही बाल-ओ-पर हूँ मैं
मुंतज़िर हूँ एक क़तरे का जो दे इज़्न-ए-सफ़र
जो तह-ए-सहरा है महव-ए-ख़्वाब वो सागर हूँ मैं
चाँद को आबाद कर लेकिन मेरी फ़िक्र-ओ-नज़र
देख मुद्दत से है जो वीराँ पड़ा वो घर हूँ मैं
इतना सादा-दिल कि दर्द-ए-दिल के हक़ में जान दूँ
पर दर-ए-का'बा न जाऊँ इस क़दर ख़ुद-सर हूँ मैं
इस क़दर वहशी कि ख़ुद पी जाऊँ अपना ख़ून-ए-दिल
इतना शाइस्ता कि शहर-ए-इश्क़ का दिलबर हूँ मैं
तिश्ना-लब पर कुछ अदब वाजिब नहीं दरियाओं का
ये सबब है जो रिवायत से खड़ा बाहर हूँ मैं
चियूँटियों के रेंगने की भी सदा आए जहाँ
इतने चुप सहमे नगर में ज़र्ब आहन-गर हूँ मैं
इस क़दर तन्हा कि डर जाता हूँ अपनी साँस से
इतना पेचीदा कि अपनी ज़ात में लश्कर हूँ मैं
साँस आती भी नहीं और जाँ से जाती भी नहीं
हिज्र बाहर था तो हिजरत दर्द के अंदर हूँ मैं
चंद घड़ियाँ और है ये हब्स का मौसम 'फ़क़ीह'
रुख़ हवा का देख सकता है जो दीदा-वर हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faqih
our suggestion based on Ahmad Faqih
As you were reading Hijr Shayari Shayari