dil tujhe pa ke bhi tanhaa hota
door tak hijr ka saaya hota
aur to apne liye kya hota
apna dukh hi koi apna hota
aap aate ki na aate dil mein
jalta-bujhta koi shola hota
aarzoo phir nayi karte ta'beer
phir naya koi tamasha hota
phir wahi ek khalish si hoti
phir kisi ne hamein dekha hota
zakham phir koi mahakta dil mein
saamne phir koi chehra hota
phir gale vahshatein miltin ham se
phir wahi ham wahi sehra hota
the khafa tum to hamaara dam-saaz
aafat-e-jaan koi tum sa hota
tujh ko nafrat hai to apna dil bhi
rafta rafta tujhe bhoola hota
thak ke soya hai jo ab raat gaye
shaam hote use dekha hota
दिल तुझे पा के भी तन्हा होता
दूर तक हिज्र का साया होता
और तो अपने लिए क्या होता
अपना दुख ही कोई अपना होता
आप आते कि न आते दिल में
जलता-बुझता कोई शो'ला होता
आरज़ू फिर नई करते ता'बीर
फिर नया कोई तमाशा होता
फिर वही एक ख़लिश सी होती
फिर किसी ने हमें देखा होता
ज़ख़्म फिर कोई महकता दिल में
सामने फिर कोई चेहरा होता
फिर गले वहशतें मिलतीं हम से
फिर वही हम वही सहरा होता
थे ख़फ़ा तुम तो हमारा दम-साज़
आफ़त-ए-जाँ कोई तुम सा होता
तुझ को नफ़रत है तो अपना दिल भी
रफ़्ता रफ़्ता तुझे भूला होता
थक के सोया है जो अब रात गए
शाम होते उसे देखा होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani
our suggestion based on Ahmad Hamdani
As you were reading Hasrat Shayari Shayari