khayal-o-khwaab se ghar kab talak sajaayein ham
hai jee mein ab to ki jee khud se bhi uthaaye ham
ajeeb vahshatein hisse mein apne aayi hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakoon na paaye ham
anees-e-jaan to hain ye khush-qadaan chinaar magar
adaayein teri unhen kis tarah sikhaayein ham
vo ghar to jal bhi chuka jis mein tum hi tum the kabhi
ab us ki raakh se duniya nayi basaaein ham
suna rahe hain dukhon ki kahaaniyaan kab se
bas ab to dhyaan ki naddi mein doob jaayen ham
har ek samt pahaadon ka silsila hai yahan
hamaara haal hai kya ye kise sunaayein ham
ख़याल-ओ-ख़्वाब से घर कब तलक सजाएँ हम
है जी में अब तो कि जी ख़ुद से भी उठाएँ हम
अजीब वहशतें हिस्से में अपने आई हैं
कि तेरे घर भी पहुँच कर सकूँ न पाएँ हम
अनीस-ए-जाँ तो हैं ये ख़ुश-क़दाँ चिनार मगर
अदाएँ तेरी उन्हें किस तरह सिखाएँ हम
वो घर तो जल भी चुका जिस में तुम ही तुम थे कभी
अब उस की राख से दुनिया नई बसाएँ हम
सुना रहे हैं दुखों की कहानियाँ कब से
बस अब तो ध्यान की नद्दी में डूब जाएँ हम
हर एक सम्त पहाड़ों का सिलसिला है यहाँ
हमारा हाल है क्या ये किसे सुनाएँ हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani
our suggestion based on Ahmad Hamdani
As you were reading Paani Shayari Shayari