yaad kya kya log dasht-e-be-karaan mein aaye the | याद क्या क्या लोग दश्त-ए-बे-कराँ में आए थे - Ahmad Hamdani

yaad kya kya log dasht-e-be-karaan mein aaye the
rang lekin kab ye chashm-e-khun-fishan mein aaye the

kis tamannaa se tumhein dekha tha kis chaahat se hum
raqs karte halka-e-waarftagaan mein aaye the

sooraten kya kya dil-e-aaina-gar mein bas gaeein
hum se be-soorat bhi to bazm-e-jahaan mein aaye the

saadgi se hum ne samjha tha hamaara zikr hai
tazkire kuch aur hi un ke bayaan mein aaye the

har nayi mushkil pe hum socha kiye hain der tak
log pehle bhi to kuch shahr-e-butaan mein aaye the

ye gul-e-tar ki si khushboo kis taraf se aa gai
hum bagule the bhala kab gulistaan mein aaye the

kyun hamaare saans bhi hote hain logon par giran
hum bhi to ik umr le kar is jahaan mein aaye the

याद क्या क्या लोग दश्त-ए-बे-कराँ में आए थे
रंग लेकिन कब ये चश्म-ए-ख़ूँ-फ़िशाँ में आए थे

किस तमन्ना से तुम्हें देखा था किस चाहत से हम
रक़्स करते हल्क़ा-ए-वारफ़्तगाँ में आए थे

सूरतें क्या क्या दिल-ए-आईना-गर में बस गईं
हम से बे-सूरत भी तो बज़्म-ए-जहाँ में आए थे

सादगी से हम ने समझा था हमारा ज़िक्र है
तज़्किरे कुछ और ही उन के बयाँ में आए थे

हर नई मुश्किल पे हम सोचा किए हैं देर तक
लोग पहले भी तो कुछ शहर-ए-बुताँ में आए थे

ये गुल-ए-तर की सी ख़ुश्बू किस तरफ़ से आ गई
हम बगूले थे भला कब गुलिस्ताँ में आए थे

क्यूँ हमारे साँस भी होते हैं लोगों पर गिराँ
हम भी तो इक उम्र ले कर इस जहाँ में आए थे

- Ahmad Hamdani
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Hamdani

As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Hamdani

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari