munh andhere ghar se nikle phir the hangaame bahut | मुँह अँधेरे घर से निकले फिर थे हंगामे बहुत

  - Ahmad Hamdani

munh andhere ghar se nikle phir the hangaame bahut
din dhala tanhaa hue aur raat bhar pighle bahut

ranj ke andhe kuein mein raat ab kaise kate
dekhne ko din mein dekhe chaand se chehre bahut

phir bhi ham ik doosre se bad-gumaan kya kya rahe
jhooth ham ne bhi na bola tum bhi the sacche bahut

tha iraada un ke ghar se bach ke ham niklen magar
har qadam par un ke ghar ke raaste aaye bahut

in dinon rahte hain logon se hamein kya kya gile
aur lagte bhi hain ham ko log sab achhe bahut

ped apne dasht mein ab ham laga kar kya karein
dhoop ne faila diye hain door tak saaye bahut

मुँह अँधेरे घर से निकले फिर थे हंगामे बहुत
दिन ढला तन्हा हुए और रात भर पिघले बहुत

रंज के अंधे कुएँ में रात अब कैसे कटे
देखने को दिन में देखे चाँद से चेहरे बहुत

फिर भी हम इक दूसरे से बद-गुमाँ क्या क्या रहे
झूट हम ने भी न बोला तुम भी थे सच्चे बहुत

था इरादा उन के घर से बच के हम निकलें मगर
हर क़दम पर उन के घर के रास्ते आए बहुत

इन दिनों रहते हैं लोगों से हमें क्या क्या गिले
और लगते भी हैं हम को लोग सब अच्छे बहुत

पेड़ अपने दश्त में अब हम लगा कर क्या करें
धूप ने फैला दिए हैं दूर तक साए बहुत

  - Ahmad Hamdani

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Hamdani

As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Hamdani

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari