nahin milte vo ab to kya baat hai
yahan khud se bhi kab mulaqaat he
tire dhyaan ke sab ujaale gaye
bas ab ham hain aur dukh bhari raat hai
hamaari taraf bhi kabhi ik nigaah
hamein bhi bahut nashsha-e-zaat hai
sulagta hua din jo kat bhi gaya
to phir aanch deti hui raat hai
shikaayat kisi se to kiya thi magar
gila ek rasm-e-kharaabaat hai
naya dukh to milta hai kis ko yahan
magar gham ki har shab nayi raat hai
har ik shaam taaza umeed-e-visaal
har ik roz roz-e-muqaafaat hai
नहीं मिलते वो अब तो क्या बात है
यहाँ ख़ुद से भी कब मुलाक़ात हे
तिरे ध्यान के सब उजाले गए
बस अब हम हैं और दुख भरी रात है
हमारी तरफ़ भी कभी इक निगाह
हमें भी बहुत नश्शा-ए-ज़ात है
सुलगता हुआ दिन जो कट भी गया
तो फिर आँच देती हुई रात है
शिकायत किसी से तो किया थी मगर
गिला एक रस्म-ए-ख़राबात है
नया दुख तो मिलता है किस को यहाँ
मगर ग़म की हर शब नई रात है
हर इक शाम ताज़ा उमीद-ए-विसाल
हर इक रोज़ रोज़-ए-मुकाफ़ात है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani
our suggestion based on Ahmad Hamdani
As you were reading Nigaah Shayari Shayari