ye wafaayein saari dhoke phir ye dhoke bhi kahaan
chand din ki baat hai phir log ham se bhi kahaan
tum ko aana tha na aaye waqt lekin kat gaya
muzmahil hote ho kyun ham raat roye bhi kahaan
ped ye sukhe hue kuchh ye zameen taptee hui
chalte chalte aaj thehre ham to thehre bhi kahaan
aaj to vo der tak baithe rahe khaamosh se
rafta rafta bin-kahe haalaat pahunchen bhi kahaan
chand yaadein chand aansu chand shikwe aur umr
ishq to kiya tha magar ab ye saleeqe bhi kahaan
dil lahu hota hai yaaro baat ye aasaan nahin
lahza lahza rote guzri aur roye bhi kahaan
ये वफ़ाएँ सारी धोके फिर ये धोके भी कहाँ
चंद दिन की बात है फिर लोग हम से भी कहाँ
तुम को आना था न आए वक़्त लेकिन कट गया
मुज़्महिल होते हो क्यूँ हम रात रोए भी कहाँ
पेड़ ये सूखे हुए कुछ ये ज़मीं तपती हुई
चलते चलते आज ठहरे हम तो ठहरे भी कहाँ
आज तो वो देर तक बैठे रहे ख़ामोश से
रफ़्ता रफ़्ता बिन-कहे हालात पहुँचे भी कहाँ
चंद यादें चंद आँसू चंद शिकवे और उम्र
इश्क़ तो किया था मगर अब ये सलीक़े भी कहाँ
दिल लहू होता है यारो बात ये आसाँ नहीं
लहज़ा लहज़ा रोते गुज़री और रोए भी कहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani
our suggestion based on Ahmad Hamdani
As you were reading Love Shayari Shayari