kuch us ko yaad karoon us ka intizaar karoon | कुछ उस को याद करूँ उस का इंतिज़ार करूँ - Ahmad Hamdani

kuch us ko yaad karoon us ka intizaar karoon
bahut sukoot hai main khud ko be-qaraar karoon

bharoon main rang naye muzmahil tamannaa mein
udaas raat ko aasooda-e-bahaar karoon

kuch aur chaah badhaaun kuch aur dard sahoon
jo mujh se door hai yun us ko ham-kinaar karoon

wafa ke naam pe kya kya jafaaen hoti raheen
main har libaas-e-jafa aaj taar taar karoon

vo meri raah mein kaante bichhaaye main lekin
usi ko pyaar karoon us pe e'tibaar karoon

ye mere khwaab meri zindagi ka sarmaaya
na kyun ye khwaab bhi main aaj nazr-e-yaar karoon

कुछ उस को याद करूँ उस का इंतिज़ार करूँ
बहुत सुकूत है मैं ख़ुद को बे-क़रार करूँ

भरूँ मैं रंग नए मुज़्महिल तमन्ना में
उदास रात को आसूदा-ए-बहार करूँ

कुछ और चाह बढ़ाऊँ कुछ और दर्द सहूँ
जो मुझ से दूर है यूँ उस को हम-कनार करूँ

वफ़ा के नाम पे क्या क्या जफ़ाएँ होती रहीं
मैं हर लिबास-ए-जफ़ा आज तार तार करूँ

वो मेरी राह में काँटे बिछाए मैं लेकिन
उसी को प्यार करूँ उस पे ए'तिबार करूँ

ये मेरे ख़्वाब मिरी ज़िंदगी का सरमाया
न क्यूँ ये ख़्वाब भी मैं आज नज़्र-ए-यार करूँ

- Ahmad Hamdani
0 Likes

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Hamdani

As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Hamdani

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari