muztarib hain waqt ke zarraat suraj se kaho | मुज़्तरिब हैं वक़्त के ज़र्रात सूरज से कहो - Ahmad Hamdani

muztarib hain waqt ke zarraat suraj se kaho
aa gai kyun aag ki barsaat suraj se kaho

hum hain aur sholoon ki laptein badh rahi hain har taraf
kya hui vo chaanv ki ik baat suraj se kaho

naachte hain ye bhayaanak saaye aakhir kis liye
zer-e-lab kya kah rahi hai raat suraj se kaho

ek tapta dasht hai aur saath koi bhi nahin
kis safar mein hai akeli zaat suraj se kaho

rengte hain naag andeshon ke saanson mein yahan
dhalne mein aati nahin hai raat suraj se kaho

zo'm hone ka raha ik umr hum ko aur aaj
jal gaye sab dhoop mein jazbaat suraj se kaho

मुज़्तरिब हैं वक़्त के ज़र्रात सूरज से कहो
आ गई क्यूँ आग की बरसात सूरज से कहो

हम हैं और शो'लों की लपटें बढ़ रही हैं हर तरफ़
क्या हुई वो छाँव की इक बात सूरज से कहो

नाचते हैं ये भयानक साए आख़िर किस लिए
ज़ेर-ए-लब क्या कह रही है रात सूरज से कहो

एक तपता दश्त है और साथ कोई भी नहीं
किस सफ़र में है अकेली ज़ात सूरज से कहो

रेंगते हैं नाग अंदेशों के साँसों में यहाँ
ढलने में आती नहीं है रात सूरज से कहो

ज़ो'म होने का रहा इक उम्र हम को और आज
जल गए सब धूप में जज़्बात सूरज से कहो

- Ahmad Hamdani
0 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Hamdani

As you were reading Shayari by Ahmad Hamdani

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Hamdani

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari