jab ibtida charaagh thi jab intiha charaagh | जब इब्तिदा चराग़ थी जब इंतिहा चराग़ - Ahmad Irfan

jab ibtida charaagh thi jab intiha charaagh
mehfil ke ikhtitaam pe phir kya hua charaagh

tu hi bata ki anjuman-aaraai kya hui
is anjuman mein tu bhi to jalta raha charaagh

mere qareeb aa ke bhi itna gurez kyun
mere nadeem tha kabhi main bhi tira charaagh

phir us ke baad hairat-e-vahm-o-gumaan thi
jab ban gaya vujood mein ik aaina charaagh

guzri jo mujh pe guzri meri baat aur hai
lekin jo tujh pe guzri mujhe vo suna charaagh

manzar hai raat ka hi tire canvas pe kyun
jugnoo bana shajar kabhi patte bana charaagh

chaupaal ki kahaani ke kirdaar kya hue
shab khatm ho gai hai so bujhne laga charaagh

ahmad bas ek raat mein qissa tamaam shud
main tha faseel-shaam pe jalta hua charaagh

जब इब्तिदा चराग़ थी जब इंतिहा चराग़
महफ़िल के इख़्तिताम पे फिर क्या हुआ चराग़

तू ही बता कि अंजुमन-आराई क्या हुई
इस अंजुमन में तू भी तो जलता रहा चराग़

मेरे क़रीब आ के भी इतना गुरेज़ क्यूँ
मेरे नदीम था कभी मैं भी तिरा चराग़

फिर उस के बाद हैरत-ए-वहम-ओ-गुमान थी
जब बन गया वजूद में इक आइना चराग़

गुज़री जो मुझ पे गुज़री मिरी बात और है
लेकिन जो तुझ पे गुज़री मुझे वो सुना चराग़

मंज़र है रात का ही तिरे कैनवस पे क्यूँ
जुगनू बना शजर कभी पत्ते बना चराग़

चौपाल की कहानी के किरदार क्या हुए
शब ख़त्म हो गई है सो बुझने लगा चराग़

'अहमद' बस एक रात में क़िस्सा तमाम शुद
मैं था फ़सील-शाम पे जलता हुआ चराग़

- Ahmad Irfan
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Irfan

As you were reading Shayari by Ahmad Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Irfan

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari